Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Sher Ka Jawaab Sher Se
SunehrePal - Sher-o-Shayri, English Poetry, Jokes, Wallpapers, Bollywood Masala, Lyrics and more > SunehrePal > Competition Zone > Bait Bazi
Pages: 1, 2, 3, 4
Kamsin Kali

Main fasany talaash karta hoon
App Unwaan dhond kar laeen
Aoo wada-kashoon ki bastee se
Chand insaan dhond kar laeen

Not Mine
Warda
log har mod par ruk ke sambhalte kyon hai
Gar itna darte hain toh ghar se nikalte kyon hai smile.gif
Risky
chand mulakaton mei ikrar na karoo
muskharat mein ushki dil ko beqarar na karoo
fool bhi gulab ke dai jatai hai zakham gaherai kabhi kabhi
eaan gulabon ke foolon per tum risky aitbar na karoo
Amaan
ehsas-e-piyaar se dil beqarar bhi hota hay
Anil bhai yeh silsala-e-ishq-e-bekhabar hay
chund mulaqatoN meiN iqraar bhi hota hay
jaisay pehli nazar meiN piyar bhi hota hay
Risky
Dil ko hamenai bhi bahoot thaa roka
Phir bhi na jane kaise pyar karenai ka dhoka kar betha

Bharosa toh hamein apne pyar per thaa magar
Us pyar ka zikr aate hi naa jane kyon palken nam ho jati hai…
ilesh shah
mohabbat ke liye kuch khas dil makhsoos hote hain
ye wo naghma he jo har saaz pe gaya nahi jata
sonal
gaate hai sab pyaar ke tarane aisse
payi hai kisi ki sacchi mahobbat jaise
Warda
Sacchi mohabbat ka naam-o-nishaan nahin
Gar bewafaayi nahin, yeh jahaan nahin
ilesh shah
Bewafa jaa tera waada dekha
Hum ne kal bhi tera rasta dekha
Amaan
rasta dekhnay walay manzil ko pehachan lay
sachay raahi yoN besabab bhatka nahi kartay
Kamsin Kali
kisi ko ghar se nikalte hi mil gayi manzil
koi hamari tarha umr bhar safar me raha
Amaan
safar meiN rehna muqaddar tumhara Kamsin
binishaaN manzil ki khuwaish chor do tum ab
TANHA SAGAR
khawahish-e-manzil chhor de to jiye kaise amaan..
isi umeed per zindgi ka katal-e-aam tamaam kiye jate he..
sonal
zindagi unki ek nazar ki mohtaj hai
aaj bhi dil mai unse milne ki pyaas hai
Risky
har shaam ye savaal muhabbat se kyaa milaa
har shaam ye javaab ke har shaam ro pa.De
Kamsin Kali
Rone se kya milta hai hume bhi batao Anil
ghum bhulane ke nukse ki talash me hum bhi hai
Risky
YAHAAN KAUN ROTA HAI KISI KE LIYE SAB APNI HI KISI BAAT PAR ROTE HAI
IS DUNIYA MEIN MILTA HAI SACHCHA SATHI MUSHKIL SE BAAKI SAB TO MATLAB KE YAAR HOTE HAI
Cute Angel
Yaron yeh duniya hai bedardo ki,
yahan har raaz chupana padhta hai,
Dil mein ho lakhon jhakham fir bhi,
Mehfil mein muskurana padhta hai!!


NM
Amaan
dard seh ker muskaraana seekh liya humne
bedardooN se dard khana seekh liya humne
Kamsin Kali
Tumhi ne bataya nahi dukh apna warna
Dua wo karte ke aasmaa hila dete
Risky
Uski marzi se badi koi jaat nahi hai
Sirf tadbiro ki hi karamaat nahi hai

Sun leta hun sabki kadvi kadi baten
Jawab to hai dost magar halaat nahi hai
TANHA SAGAR
ek chehre pe kai chehre laga lete hai log..
jab bhi ji chaahe nayi duniya basa lete hai log..
sonal
^ nice song... smile.gif

ek unka chehra hai jo dil mai basa hai
baki hamne kisi aur ko kaha dekha hai
Kamsin Kali
aankho ka hai kasoor ke aks e jamaal hai
aati hai kyu nazar unki surat jagha jagha
Amaan
qasoor tu tumhara kuch nahi tehra kamsin
per yehi dastoor hay yahaN yehi hota hay
Cute Angel
Jfa ki gard jami thi, uske chehre par,
Badan par odhe huye jo jfa ki chadar tha...



gard - gandagi
odhe - dhakna
sonal
aasmaan ki chaddar odhke aai
aaj ye chandi wapas sharmai
Amaan
rooti hay zameeN aasmaaN bhi hay sharmaaye
kya mau dikhlayega yeh bashar apnay khaliq ko
sonal
chupaya hai humne apna chahera unse
kya kare..aaj dil laga baithay hai unse..
Risky
Aaj majnuu ki halat bhi koi ghair nahin
Zara bachi jo aankh Sheereen per mit te dekha
sonal
majnu ne to mahobbat mai pattha kha liye
laila ke dil ke zakham kisi ne nahi dekhe
Risky
laila aaj ke bhi afsoos kaya laila hai
Sare bazaar use majnoon ke sikke karte dekha
CanadianGhalib
Ishq mujhko nahi wehshat hi sahi
Meri wehshat teri shohrat hi sahi
Amaan
ishq na sahi ulfat tu rahayi hogi tumhaiN
yoN besabab tu shab bhar nahi jaagay
Kamsin Kali
To chalo maan loya mujh ko ishq hai tumse
To chalo tum bhi kaho esi sabab magroor ho tum
TANHA SAGAR
Magroor bane kitna dil to magar vahi nazuk sa he..
khelo na ise khilona samaj ye kaanch ki tareh toot jayega.
Amaan
nazuk dil ko tum sanbhaal ker rakhna
sang logooN ki pathar duniya hay yeh
TANHA SAGAR
Pather duniya me ham dekhte he kab tak jee payenge..
kasam khayi he hamne b uff kiye bina hi teri duniya se chale jayenge..
Cute Angel
jane ko toh duniya se sab chale jate hain,
par insaan wo hai jo muskurate -2 apna naam ucha kar jate hain!!
Amaan
jaanay walay ko jaanay diya karo logooN
k ruknay walay jaanay ka kah nahi kartay
Kamsin Kali
tujh ko tanha kar gaya munfarid rehne ka shok
ab akele beth ker yaadon ke manzar dekhna
Cute Angel
yaadon ko yaad kar ankhon mein sirf askq hi panap-te hain,
hassi toh na jane kahan chali jati hai!!
Amaan
na kar yaad beetay guzray palooN ko
anay wala kal ki hawa bhi theek nahi
CanadianGhalib
Palat ke rakh doonga is jehan ka nizaam
Abhi to zara hawa ka rukh dekh raha hoon
Amaan
tum hawaoN k rukh kaisay samjhogay
tinkay ki maanind jawaani tehri teri
TANHA SAGAR
Tinke me b dam bahut hota he amaan
gar aankh me gir jaye to tumko hila de..
sonal
anakho mai aapko basake hum ro nahi sakte
darte hai aansoo ke sath aap bahe na jaaye
Amaan
aansooN se apna dukh dikhaya na karo
yeh paani har kisi ko moom karta nahi
Warda
gar na raoun toh iss bauj tale jiyon kaise
tu hi kuch samjhaa de iss dil-e-nadaan ko
TANHA SAGAR
Dil-e-naada.n tujhe hua kya hai...
tere is dard ka marham kya hai..
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2012 Invision Power Services, Inc.