
Salam doostooN
ji to aap sab k saamnay ek baar phir se ek contest laikar haazir haiN hum, jiska unwaan/theme/khiyaal
SHAB-E-TANHAYI
rakha gaya tha is baar
Shab-e-tanhayi... ummmm... tareek dil dehla denay waali khamooshi aur bheegi palkoo se sehar ko aatay dekhna, is raat ka tu aalam wohi jaanta hay jo is dard ka maara ho, magar shayar tu wohi jo zaroori nahi apni beeti per hi likhay balkay khudh se bohat se halaat aur khiyaal mehsoos karkay bhi likhta hay
tu inhi khiyaal aur koshish k saath ek baar phir hum meiN se kuch doostooN ne apni apni koshish ki aur apna qeemti waqt diya is contest ko, kuch enteries aur bhi aayen magar deadline khatam hojanay k baad tu un se sirf itna hi k jab aapko maloom hay k deadline 2nd october hay aur aap agar thora late hosaktay thay tu pehlay inform kardete pm karkay k aap 3rd october tuk kardaingay phir accepted thi magar ab nahi sorry is k liye
ab yeh shab e tanhayi meiN yaadooN ki baraat dard k sailaab aur aansooN ki baarish hoti hay jaise
Shab ke jaage hue
Hijr ki aaghosh main
Shab-e-tanhaai main
Jee ko jalaate rahe..
Rooh ko tadpaate rahe
yaadon ko sulgaate rahe..
aarzuon ko mehkaate rahe
shamma ki tarha jalte rahe..
katra katra pighalte rahe...
Yaad-e-maazi ke lamhe
Dil ko tarsaate rahe...
Is gamnaak kafas main
Raat bhar sisakte rahe
Khud ko behlaate rahe
Harjaai ki yaad main...
Ashkon ko peete rahe
Yunhi ghut ke jeete rahe..
nm
tu kahi koi apni tanhayi k lamhaat meiN apnay mehboob ka ehsaas mehsoos karkay kuch lateef se jazbaat ko talaashta hay jaise
aaj iss raat chalo kuch ho jaaye
ek doojay meiN kahi kho jaaye
mudatoN baad ayi hay yeh raat
na ajaye sehar hum ek ho jaaye
sard mausam ne bhi li angraayi
behke jazbooN meiN kho jaaye
na milna ho shayad baad-e-sehar
chalo is raat hum duno ek ho jaaye
beeti raat inhi khiyaloN meiN Amaan
dhali shab-e-tanhayi chal so jaaye
tu kabhi tanhayi ko hi apna humsafar bana liya jaata hay
jurm-e-wafa ki khoob saza hay paayi
aaj main hoon aur yeh shab-e-tanhayi
milan ki Aaas mein zindagi raiza raiza hoyi
chahat teri thi per mili tere naam ki tanhayi
saath rehnay ki qasam khoob hay nibhaayi
bana k mehfil apni, dee hay mujhay tanhayi
mubarak ho tumhain yeh mehfil rang-o-ranaayi
karlaite hain naam apne tere hisay ki bhi tanhayi
kehdo jaa k uss se na samjhay tanha Amaan ko
naye safar k raahi hain Main aur Meri Tanhayi
tu koi is ishq o mohabbat se dour bas is khudaayi k khuda ki yaad meiN raatooN ko tanha uskay saamnay girgiraata hay
Tu kuch inhi khiyalooN aur koshishooN k saath haazir haiN humaray members aapk saamnay, parhiye, mehsoos kijiye aur jisay aap bethar samjhaiN usay vote kijiye
Filwaqt voting open nahi hoyi, voting 2 din baat shuru hogi tab tuk aap sab enteries aaram se parh saktay haiN
Ab mujhe aur meri team ko ijaazat
Apna bohat sara khiyaal rakhiyega
Allah hafiz
Sunehre Pal Team

